khushi jisne khoji woh dhan leke lauta
hansi jisne khoji chaman leke lauta
magar pyaar ko khojne chala jo woh
na tan leke lauta na man leke lauta
subaha na aayi shaam na aayi
subaha na aayi shaam na aayi
jis din teri yaad na aayi yaad na aayi
subaha na aayi shaam na aayi
kaisi lagan lagi ye tujhse
kaisi lagan ye lagi
hansi kho gayi khushi kho gayi
aansoo tak sab rahan ho gayi
arthi tak sab neelaam ho gayi
arthi tak sab neelaam ho gayi
duniya ne dushmani nibhayi, yaad na aayi
subaha na aayi shaam na aayi
tum mil jaate to ho jaati puri apni ram kahani
ghar ghar taj mahal ban jata
ganga jal aankhon ka paani
saanson ne hathkadi lagayi yaad na aayi
subaha na aayi shaam na aayi
jaise bhi ho, tum aa jaao
jaise bhi ho, tum aa jaao
aa jaao aa jaao
jaise bhi ho, tum aa jaao
aag lagi hai tan mein aur man mein
aag lagi hai tan mein aur man mein
ek taar ki doori hai
ek taar ki doori hai
bas daaman aur qafan mein
huyi maut ke sang sagaayi, yaad na aayi
aa jaao, aa jaao, aa jaao
aa jaao, aa jaao
No comments:
Post a Comment