Sunday, June 22, 2014

Surajmukhi tera pyaar anokha hai

Surajmukhi.....
Surajmukhi tera pyaar anokha hai
Har subah ko khilna hai
Har shaam ko murjhaana hai
Suraj ne kya tere
Is marm ko jaana hai
Ye kaisa rishta hai
Ye kaisa naata hai
Suraj mukhi..................

Pyase adhron par anjane mein
Koi geet jo pyar ke aa jayin
Man ko chhoo kar dard ka jhonka ye
Ashk bane nas nas mein sama jaaye
Jaise shabnam se bheege
Phoolon ka anchal kora
Koi kiran sahla jaaye
Dard ko yun sahla kar
Man ko yun bharma kar
Kirno ke sahre tera ye
Jeevan chal padta hai
Ye kaisa rishta hai......
Sooraj mukhi........

Gahan andheri raahon mein
Kyon sath ye kirne chhod gayi hain
In modo par preet ki dori ka
Ye bandhan tod gayi hain
Jeevan ke upvan ka maali
Jab naa raha phuli bagiyan mein
Kaun tere is maun prashn ka
Uttar dega is duniya mein
Tod ke pyara sapna
Sukh samet kar apna
Kyon chhod ye sath adura
Ye jeevan chal padta hai..
Ye kaisa rishta hai...
Suraj mukhi.. 
 
 

No comments:

Post a Comment